BICHA KE FARSHE AZA, FATEMA KO YAAD KAROAlam sajaawo kisi be rida ko yaad karo (2) SIYAH KAPDE BADAN PAR HO SIRF IS GHAM MEIN, (2) Ruke na ankh se ansoo kabhi muharram mein, (2) Libaas-se Hazrate Zainul-e-ba ko yaad karo KABHI SABIL SE PANI PIYO TO YE KEHKAR, (2) Mai teri pyaas pe kurban husain ki dukhtar, (2)Kabhi sakina kabhi ba wafaa ko yaad karo GALE MEIN SHALE-AZA AUR HAATH SINOO PAR, (2) Alam uta ke chalo yun dahkte sholo par, (2) Jo bekasoo pe huwi us jafaa ko yaad karo JHULA JHULA-O KISI BE ZABAAN KA JAB BHI, (2) To yaad karna zara bekasi wo banu ki, (2) Kabhi Rubab ki aaho buka ko yaad karo GHAME HUSAIN MILA HAI TUMHE MUKADAR SE, (2) Sadaa Husain kay matam ki aaye ghar ghar se, (2) Husain Husain karo Karbala ko yaad karo WO JIS-NE DEEN KE KHATIR LUTA DIYA GHAR KO, (2) Khuda ki raah me jis-ne kataa diya sar ko, (2) Pado namaaz to us bay khataa ko yaad karo ALAM JO HAZRATE ABBAS KA UTA-THE HAI, (2) Dile batul se lakho duwae paate hai, Alam ke saye mein awo duwa ko yaad karo KABHI YE SHOCH KE TUM DEKHNA PHARE-RE KO, (2) Yahi to Zainab-E-Muztar ki aas thi logoo, Alam ko dekho to us berida ko yaad karo BAHEN KE SAMNE DOOLA BANE KOI BHAAYI, (2) Jo apne bhayi ka sehra na dekhne paayi Usi gharib behen ki sadaa ko yaad karo KHUDA NA KHASTA KISMAT YE DIN JO DIKHLAYE, (2)Kisi jawan ko jawani mein maut ajaaye, To hum shabihe Nabi ki kazaa ko yaad kare ***********************
ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka Haq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi kaMauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai Zulm ke andheron may roshni ka maatam hai Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzreBaad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai Karbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi Be-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye Aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi Jaa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab Bin tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab ***********************
x2 ki maut by zaheer ahmad 16
2ff7e9595c
Comments